us se mila to dil mera sarshaar ho gaya aur phir bichhad ke khud se hi bezar ho gaya kaudi ke bhaw bikta hai is daur mein zamir insan ka wajud hi bazar ho gaya rishte hawas ki aag mein aise jale ke bas ab to yaqin apnon pe dushwar ho gaya hirs-o-hawas ki aag thi har-su jali hui lekin zamir mera madad-gar ho gaya patthar ki chot sah gaya kuchh bhi hua nahin lafzon ka tir dil ke mere par ho gaya aankhon se teri yaad ka sawan baras pada sapna meri hayat ka sakar ho gaya