tum ne dekha hi nahin hai wo nizam-e-makhsus ku-e-jaanan mein hamara hai qayam-e-makhsus mujtama aaj hain yaran-e-sar-e-pul sare khalwat-e-khas mein hai majma-e-am-e-makhsus jalsa-e-am mein diqqat nahin hoti un ko jo samajhte hain ishaaron mein kalam-e-makhsus dil-e-gham-dida hua hamdam-e-sad-guna-nashat aaj aaya hai jau dilbar ka payam-e-makhsus wo mera subh-nafas mukhlis-e-yak-rang hua ab na wo subh-e-muqarrar hai na sham-e-makhsus khub eazaz giraftar-e-mohabbat ka hua un ko hai madd-e-nazar qaid-e-dawam-e-makhsus aam se khas ki tamiz hua karti hai ho gaya nok-e-zaban shokh ko nam-e-makhsus naqs ye waza ka ho jaega dagh-e-ismat kyun wo shab-gard hua mah-e-tamam-e-makhsus raazdan jo hain samajhte hain wo ye raaz-o-niyaz guftugu khas se hota hai kalam-e-makhsus hai tera bulbul-e-kashmir yagana mai-kash aam hota hi nahin sharb-e-dawam-e-makhsus