tumne hathon pe mera nam likha mere baad

tum ne hathon pe mera nam likha mere ba'd
mera har lafz bana rang-e-hina mere ba'd

mere hone hi se tha us pe yaqin-e-kaamil
kitna be-faiz sa hai mera khuda mere ba'd

kaun maikhane ki tahzib se waqif the yahan
sab ko aa jaegi pine ki ada mere baad

main jo mahrum-e-karam dar se tere lauta hun
hath ab uthte nahin bahr-e-dua mere ba'd

mere hote jise kahte hue khaif the sabhi
zindagi ne wahi afsana kaha mere ba'd

sarkhushi ras na aai jise hamrah mere
jam-e-gham pi ke wo shadab hua mere ba'd

aaj bhi khushk hai kanton ki zaban khak-e-chaman
bhejna phir se koi aabla-pa mere baad

koi aahat hai na sargoshi na aawaz koi
kitna tanha hai ye sahra-e-wafa mere baad

main hi tha jo teri tausif kiya karta tha
ab 'khalish' kaun kare teri sana mere ba'd


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close