ab na kije KHwahish-e-barg-o-samar ki justuju

ab na kije khwahish-e-barg-o-samar ki justuju
chhodiye kashti banane ke hunar ki justuju

umr-e-rafta ja kisi diwar ke sae mein baith
be-sabab ki khwahishen hain aur ghar ki justuju

be-ghari ke daur-e-pur-ashob mein bhi jaane kyon
hai sabhi ke dil mein bas diwar-o-dar ki justuju

qurbaton ke sath jine ka hunar aaya na phir
ab kahan mujh ko kisi bhi ham-safar ki justuju

ek lamhe ko bhi hasil hai sukun-e-dil kahan
phir bhi dil ko hai mere shakh-e-shajar ki justuju

ab shikasta khwab palkon par nahin aate meri
mujh ko bhi 'rizwan' nahin ab chashm-e-tar ki justuju


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close