tumne kaha to kar liya warna nahin kiya

tum ne kaha to kar liya warna nahin kiya
hum ne tumhaare waste kya kya nahin kiya

kis kis se munh chhupate phiren hum tumhaare baad
tum ne kahan kahan hamein ruswa nahin kiya

us ne kaha ki kaam mukammal karo chalen
aur main ne jaldi jaldi mein sara nahin kiya

aaj apne intikhab pe sharmindagi hui
us ne to baat karna gawara nahin kiya

'ahmad' ko is tarah nazar-andaz mat karo
phir baad mein na kahna ki achchha nahin kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close