zamin pe jab bhi kisi parsa ko dukh hoga khuda gawah hai khalq-e-khuda ko dukh hoga wafa ke nam pe ai shakhs bewafai na kar hamari khair hai lekin wafa ko dukh hoga jala raha tha charaghon ko band kamron mein wo jaanta tha ki aise hawa ko dukh hoga jahan wo baithega kahlaegi wo ja-e-nafis aur aas-pas ki sari jagah ko dukh hoga main mushkilat mein hun par khuda ko ilm na ho mujhe pata hai ki mere khuda ko dukh hoga kuchh achchhe log faqat is liye bhi laut gae unhen laga tha ki shayad qaza ko dukh hoga