tum ne likkha hai likho kaisa hun main doston ki bhid hai tanha hun main yasmin o nastaran mera pata khushbuon ke jism par likha hun main pahle hi kya kam tamashe the yahan phir nae manzar utha laya hun main phir wahi mausam purane ho gae din dhale sargoshiyan sunta hun main kaun utarti chadhti sanson ka amin saya-e-diwar se lipta hun main tu kabhi is shahr se ho kar guzar raston ke jal mein uljha hun main wo meri khush-fahmiyan sab kya huin jaane kab se be-hunar zinda hun main