sar-ta-ba-qadam ek hasin raaz ka aalam allah re ek fitnagar-e-naaz ka aalam zulfon mein wo barsat ki raaton ki jawani aariz pe wo anwar-e-sahar-saz ka aalam unwan-e-sokhan 'ghaalib' o 'momin' ka taghazzul andaz-e-nazar baada-e-shiraaz ka aalam duz-dida nigahon mein ek ilham ki duniya nazuk se tabassum mein ek ejaz ka aalam uljhe hue jumlon mein shararat bhi haya bhi jazbaat mein duba hua aawaz ka aalam is sadgi-e-husn mein kis darja kashish hai har naz mein ek jazba-e-ghammaz ka aalam us said ko kya kahiye jo khud aae tah-e-dam dil mein liye ek hasrat-e-parwaz ka aalam yun to na tasahul na taghaful na tajahul kuchh aur hai us kafir-e-tannaz ka aalam shokhi mein shararat mein matanat mein haya mein jo raaz ka aalam tha wahi raaz ka aalam