tum ne mahsus kahan meri zarurat ki hai mere jazbon ki kahan tum ne himayat ki hai haal puchha na kisi ne mere aansu ponchhe kya kisi se bhi nahin main ne mohabbat ki hai khush thi main chhote se ghar mein bhi tere pyar ke sath main ne kab tujh se kisi mahl ki chahat ki hai sochti hun main yahi baith ke tanhai mein kya yaqin kar ke tera main ne himaqat ki hai aaj phir shahr mein utthega koi hangama aaj sach kahne ki ek shakhs ne jurat ki hai kitna roi hun tere baad tujhe kya malum main ne lamhon ki ada is tarah qimat ki hai kis tarah milta 'siya' sare zamane se mizaj baat kuchh aur nahin baat tabiat ki hai