mulaqaton ka aisa silsila rakkha hai tum ne badan kya ruh mein bhi rat-jaga rakkha hai tum ne koi aasan nahin tha zindagi se kat ke jina bahut mushkil dinon mein rabta rakkha hai tum ne hum aise milne walon ko kahan us ki khabar thi na milne ka bhi koi rasta rakkha hai tum ne junun ki haalaton ka hum ko andaza nahin tha diye ki shah pe suraj ko bujha rakkha hai tum ne hawa ko habs karna ho to koi tum se sikhe dariche band darwaza khula rakkha hai tum ne ab aisa hai ki duniya se ulajhte phir rahe hain ajab kaifiyaton mein mubtila rakkha hai tum ne khizan jaise hare pedon ko ruswa kar rahi hai suluk aisa hi kuchh hum se rawa rakkha hai tum ne rihai ke liye zanjir pahnai gai thi asiri ke liye pahra utha rakkha hai tum ne burida aks larzan hain lahu ki wahshaton mein ye kaisa aaina-khana saja rakkha hai tum ne jahan kirdar gunge dekhne wale hain andhe isi manzar se to parda hata rakkha hai tum ne mohabbat karne wale ab kahan ja kar milenge guzargahon ko to maqtal bana rakkha hai tum ne