tum ne puchha to bata deti hun kyon tha yun tha sabab-e-tark-e-mohabbat bhi junun tha yun tha tum ne aansu jinhen samjha tha nahin the aansu meri aankhon se jo nikla tha wo khun tha yun tha is liye tum ne bhi shayad meri tauqir na ki mujh mein jo shakhs darun tha wo barun tha yun tha yar ab tum hi mere haq mein gawahi de do warna kis kis ko bataungi main yun tha yun tha aur bhadak jati thi sine mein teri yaad ki aag sabab-e-baada-kashi tera fusun tha yun tha aur kuchh wajh nahin thi meri khamoshi ki dil ko tanhai ke aalam mein sukun tha yun tha main lagatar kiya karti thi ulfat ke sawal us ki jaanib se 'shikha' han tha na hun tha yun tha