tamam aish-o-tarab aur sukun ek taraf

tamam aish-o-tarab aur sukun ek taraf
ata-e-ishq hamara junun ek taraf

makan mein khidkiyan diwar-o-dar zaruri hain
magar jo roke hai chhat wo sutun ek taraf

isi mahine mein tum chhod kar gae the mujhe
nikal dungi calender se june ek taraf

main zindagi ke sabaq ek or rakhti hun
tamam hikmat-o-ilm-o-funun ek taraf

hai ek aur ishaara teri nigahon ka
zamana bhar ke sabhi aflatun ek taraf

bana ke bhejungi is bar ishq ka sweater
nikal ke abhi rakh li hai un ek taraf

ragon mein waise to har waqt daudta hai 'shikha'
magar jo aankh se tapka wo khun ek taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close