tum ne rasm-e-jafa utha di hai hamein kis jurm ki saza di hai sham-e-ummid kyun jala di hai ishq tarikiyon ka aadi hai aap ne khud mujhe sada di hai ya meri quwwat-e-iradi hai hum to muddat ke mar gae hote maut ne zindagi badha di hai ab dua par bhi e'timad nahin na-muradi si na-muradi hai tujh sa bedad-gar kahan hoga lab-e-har-zakhm ne dua di hai mukhtalif hain tasawwuraat-e-jamal ye aqida bhi infiradi hai dekh fitrat ki bazm-arai khak par chandni bichha di hai ye jo chhoti si hai kali sar-e-shakh bagh ki baad shahzadi hai lab-e-taswir-e-dost kuchh to bata kis ne ye khamushi sikha di hai ai 'saba' kimiya-e-gham ke liye zindagi khak mein mila di hai