na apne-ap ko is tarah dar-ba-dar rakhte

na apne-ap ko is tarah dar-ba-dar rakhte
palat ke aate agar hum bhi koi ghar rakhte

ajib wahshat-e-shab thi ki sham dhalte hi
tamam log munderon par apne sar rakhte

jo apni fath ke nashshe mein chur the wo bhala
sulagte shahar ke manzar pe kya nazar rakhte

ye aur baat ki sarsabz the bahut lekin
hum aise ped na ban pae jo samar rakhte

jinhen hawa ki rifaqat aziz thi 'shahzad'
wo apne panw bhala kya zamin par rakhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close