tum ne sikha hai agar sirf hukumat karna yaad rakhna hamein aata hai baghawat karna donon maidanon mein apna nahin sani koi hum se tum soch ke nafrat ya mohabbat karna khud sikhae the jise hum ne ye ulfat-adab ab ye lazim hai khule us pe adawat karna khud-bakhud log bithaenge tumhein palkon par pahle khud sikh to lo auron ki izzat karna gar nahin ranj mujhe us se bichhadne ka to phir aaj tak kyon nahin bhula use rukhsat karna