tum ne sikha hai kahan se sab ko tarkhane ka dhang aadmi to aadmi hai rab ko bahkane ka dhang baat ho rukhsat ki tum sa koi bhi faiq nahin tum na jaano gham-zadon ke khwab mein aane ka dhang salha sajde kiye tum ko bulane ke liye jaante ho tum magar pal mein chale jaane ka dhang wasl ke wadon se lin murshid ne to shiriniyan jaanta lekin nahin hai ab wo milwane ka dhang but-kade mein kyon na main chumun qadam asnam ke kargar kitna hai tera panw diwane ka dhang sanp ke manind jis lai pe ho tum jaanam fida koi to hum ko sikhae wo kabhi gane ka dhang dil jalana ruthna phabti udana kosna kis se sikha hai ye tu ne khud ko bahlane ka dhang ai sarapa-naz ban jati hai tu to sahira wah kitna hai muassir tere sharmane ka dhang