gharon mein sote sote log har raat uthne lagte hain to aabaadi mein kya kya inqilabaat uthne lagte hain nahin uthte agar soe hue sultan to ek din jo qabu mein nahin aate wo haalat uthne lagte hain jawab aane mein lag jati hain aksar muddaten lekin jawab aate hi sar mein phir sawalat uthne lagte hain wo karta hai nihayat ba-dil-e-na-khwasta rukhsat jab us ke pas se hum be-mudaraat uthne lagte hain koi sadma nahin uthta shuru-e-ishq mein taham ba-tadrij aadmi se sare sadmat uthne lagte hain 'shuur' apne labon par tum khushi se muhr lagne do dabane se to afkar-o-khayalat uthne lagte hain