tur par kya munhasir hai jis taraf jata hun main tere jalwe ki jhalak har chiz mein pata hun main aalam-e-ghurbat mein tanhai se ghabraata hun main yaad-e-ahbab-e-watan se dil ko bahlata hun main hae masti mein nahin rahta zaban par ikhtiyar baaton baaton mein na kahne ki bhi kah jata hun main ai adam ke jaane walo koi dam ki der hai mustaid hun main bhi aane ke liye aata hun main manzil-e-maqsud tak pahunchun yahi dhun hai mujhe dam nahin leta kahin badhta chala jata hun main mukhtasar rudad hai ye be-qarari ki meri khud tadap kar dekhne walon ko tadpata hun main kya kisi ka husn hai ghaarat-gar-e-tab-o-tawan dekhte hi ek jhalak behosh ho jata hun main meri hasti un ki mahfil mein garan-khatir nahin surat-e-baad-e-saba jata hun main aata hun main de rahe hain kya mujhe jine ke tane bar bar na-munasib hai mera jina to mar jata hun main ahl-e-mahfil ko sunata hun mazamin-e-bahaar tab-e-rangin ke zariye phul barsata hun main garche qatra tha magar dariya mein milne ke siwa mauj ban kar sath par dariya ki lahraata hun main bar-e-khatir hai agar mahfil mein mera baithna kaisi mahfil lo zamane se utha jata hun main dar-haqiqat mere haq mein maut ka paigham tha un ka ye kahna khuda-hafiz tera jata hun main nakhun-e-tadbir se taqdir ka leta hun kaam apni har uljhi hui gutthi ko suljhata hun main meri istida pe mujh ko talne ke waste kah diya zalim ne achchha tum chalo aata hun main qaum par ho kar tasadduq qaum par ho kar nisar ghaziyan-e-qaum ki tarikh dohraata hun main kyun na ho 'sabir' mere sher-o-sukhan mein pukhtagi mo'taqid jab hazrat-e-'nasikh' ka kahlata hun main