tu hai mani parda-e-alfaz se bahar to aa aise pas-manzar mein kya rahna sar-e-manzar to aa aaj ke sare haqaeq wahimon ki zad mein hain dhaalna hai tujh ko khwabon se koi paikar to aa tu sahi ek aks lekin ye hisar-e-aina log tujh ko dekhna chahen barun-e-dar to aa zaiqa zakhmon ka yun kaise samajh mein aaega phenkna hai band pani mein koi patthar to aa jism-e-khaki tujh ko shishe ki haweli hi sahi ai charagh-e-jaan kabhi fanus ke bahar to aa is jagah aahang mein dhalti hain dil ki dhadkanen aa mere gahwara-e-ehsas ke andar to aa bar-ha ji mein ye aai umr-e-rafta se kahun sham hone ko hai ai bhule musafir ghar to aa