TuT jaane ka bhi imkan tha tum jaante the

tut jaane ka bhi imkan tha tum jaante the
dil mein sab kanch ka saman tha tum jaante the

rahat-e-qurb-e-rifaqat ke sabab zinda hain
warna jina kahan aasan tha tum jaante the

lazzat-e-dard se sairab mujhe is ne kiya
mujh pe ek shakhs ka ehsan tha tum jaante the

koi aawaz bhi patthar nahin karti thi mujhe
apne jangal ka main sultan tha tum jaante the

kitna mushkil tha kisi but ki parastish karna
main to kafir bhi musalman tha tum jaante the

zindagi mere tasarruf mein thi wo kya karta
meri buniyaad mein tufan tha tum jaante the

apne hathon se likhun aur tumhein roz padhun
dil mein bas ek hi arman tha tum jaante the

ham-safar us ke the aur rakht-e-safar bhi us ka
main to bas be-sar-o-saman tha tum jaante the

ab use dard ki dahliz pe chhod aae ho
wo to haara hua insan tha tum jaante the

jis ki khushbu se moattar mere ashaar the 'qais'
ek hi phul meri jaan tha tum jaante the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close