raqs-e-nairangi hai nazzaron ke bich ji raha hun shoabada-karon ke bich ek duniya ko hai lut jaane ka dar ek hum hain lut gae yaron ke bich shikwa-e-jaur-o-jafa kis se karun pyar se mahrum hun pyaron ke bich mulk-o-millat qaum-o-mazhab dosto kya nahin bikta kharidaron ke bich azmat-e-hawwa ka ek aur aaina ho gaya nilam bazaron ke bich asl rishta to zamin se hai mera yaad aaya mujh ko sayyaron ke bich shauq-e-khud-arai ke hathon hua ek hayula qaid diwaron ke bich ya-ilahi rahm karna aaj wo aa gae chal ke talab-garon ke bich mere dam se hi hui hai raushni dasht-o-sahra aur kohsaron ke bich ai bahaar-e-abr-e-nau jaldi baras jal rahe hain khwab angaron ke bich mujh mein hai maujud parwaz-e-'khayal' mo'atabar hun main bhi fankaron ke bich