tut kar der talak pyar kiya hai mujh ko aaj to is ne hi sarshaar kiya hai mujh ko wo mahakta hua jhonka tha ki neze ki ani chhu ke guzra hai to khun-bar kiya hai mujh ko main bhi talab ka thahra hua pani tha kabhi ek patthar ne rawan dhaar kiya hai mujh ko mujh se ab us ka tadapna nahin dekha jata jis ne chalti hui talwar kiya hai mujh ko main bulandi se use dekh raha hun 'nashtar' jis ne pasti ka gunahgar kiya hai mujh ko