mausam-e-gul ye teri zard sahafat kaisi phul masum hain phulon se siyasat kaisi us ne daldal ke qarin chhod di ungli meri khizr kahlata hai karta hai qayaadat kaisi jaise is bar hawaon mein lagi ho dimak ho rahi hai meri sanson ki kifalat kaisi main jahan bhi rahun ye dhund nikalegi mujhe jaanta hun ki hai mitti ki basarat kaisi chhin gai mujh se har ek chiz alif se ya tak mere mazi ne ye likkhi thi wasiyyat kaisi gar koi qatl nahin karta hai andar se mujhe phir meri palkon pe ashkon ki ye mayyat kaisi sang hathon mein liye soch raha hun 'khurshid' aaine se ye nikal aai raqabat kaisi