tut ke patthar girte rahte hain din raat chatanon se sawan ki barsat ki surat barsen tir kamanon se kale koson dur se aakhir lae bhi to phul-jhadiyan hire bhi to mil sake the soch ki gahri kanon se is rangin bazar mein koi kya khushbu ka dhyan kare phulon ko mali bhi parkhe rangon ke paimanon se raat sahar ki khoj mein kitne dip jala kar nikle the kitne tare laut ke aae hain kale viranon se tapti dhup mein kab se murakh aas lagae baitha hai chashme phut ke ba niklenge retile maidanon se biti khushiyan bhi ab dhyan mein aane se katraati hain raat ko log guzarte hain hat kar viran makanon se 'amir' kaisa din guzra hai aur ye kaisi sham hui pahron khun tapakte dekha suraj ki shiryanon se