tuta phuta sahi ehsas-e-ana hai mujh mein aisa lagta hai koi aur chhupa hai mujh mein kirchiyan shishe ki paikar mein nihan hain mere aks-dar-aks koi sang-numa hai mujh mein ab wo shorida-sari hai na wo jazbon ki sada bas ufuq-ta-ba-ufuq ek khala hai mujh mein khwab-dar-khwab mera phulon ki wadi ka safar aankh khul jae to ek dasht-e-bala hai mujh mein satwat-e-jabr wahi rang ki diwar wahi ek ehsas hai jo mujh se siwa hai mujh mein har nafas mera sulagte hue khwabon ka dhuan aarzuon ka koi shahr jala hai mujh mein sunta rahta hun main mazlum ki chikhen bhi 'sarup' ya ki paikar kisi qatil ka chubha hai mujh mein