faza mein rang se bikhre hain chandni hui hai kisi sitare ki titli se dosti hui hai meri tamam riyazat ka ek hasil hai wahi dua jo tere nam se judi hui hai main hadse se nikal aai hun magar dekho zamin ab bhi mere jism par padi hui hai abhi to tu ne mera hath bhi nahin thama ye kis khabar se zamane mein sansani hui hai udasi jonk hai ye khun chus leti hai ye baat main ne kahin aur bhi suni hui hai main tere lams ke jadu se khub waqif hun wo shakh hun jo tere hath par hari hui hai jo aankhen senk rahe hain unhen khabar hi nahin yahan pe khwab jale hain to raushni hui hai main lal rang lagati thi nile khwabon ko isi liye to ye tabir kasni hui hai wo mere bare mein kya sochta hai kya malum khuda se meri mulaqat sarsari hui hai main pichhle sal ki taswir bhej deti tujhe magar ye ek taraf se zara jali hui hai maza to jab hai ki 'injil' hi lage sab ko nuzul-e-ishq pe jitni bhi shairi hui hai