tute hue khwabon ki chubhan kam nahin hoti ab ro ke bhi aankhon ki jalan kam nahin hoti kitne bhi ghanere hon teri zulf ke sae ek raat mein sadiyon ki thakan kam nahin hoti honton se piyen chahe nigahon se churaen zalim teri khushbu-e-badan kam nahin hoti milna hai to mil jao yahin hashr mein kya hai ek umr mere wada-shikan kam nahin hoti 'qaisar' ki ghazal se bhi na tuti ye riwayat is shahr mein na-qadri-e-fan kam nahin hoti