mera ek ek harf paimana meri iza ka hai tishnagi ki wusaten hain ye karam dariya ka hai ban gae sahra mein ghar lekin gharon mein aaj tak rau wahi wahshat ki hai mausam wahi sahra ka hai chahe bik jaun chukaunga magar sab ka hisab mujh pe qarz imroz ka hai mujh pe haq farda ka hai gard-o-baad-e-dasht ka ehsan ki hai tu sath sath is safar mein kaun mujh aawara o tanha ka hai jae bhi koi naya rah-raw to ab jae kidhar be-karan ek sail har jaanib nuqush-e-pa ka hai kam na thi kal bhi ufuq-tabi magar wo kal ki thi aaj ubharne wala suraj aaj ki duniya ka hai