tute padte hain ye hain kis ke kharidar tamam subh se band hain kyun misr ke bazar tamam ab raha kaun jo didar tumhaara dekhe parda uthte hi hui hasrat-e-didar tamam ek jhalak dekh li parde se to zalim ne kaha lut li tu ne mere husn ki sarkar tamam husn andaz ada naz nigahen shokhi dil mera chhin ke ban baithe hain mukhtar tamam ab bhi apna koi 'bekhud' mujhe samjha ki nahin chhap gae ab to mere haal ke akhbar tamam