wo aise bigde hue hain kai mahine se ki jaan pe ban gai tang aa gaya main jine se hue numud jo pistan to sharm kha ke kaha ye kya bala hai jo uthti hai mere sine se wo dur khinch ke shab-e-wasl us ka ye kahna koi udhar hi ko baitha rahe qarine se jo bosa dete hain to lab bachate hain lab se lipatte bhi hain to sina chura ke sine se wo sath sona kisi ka wo garm-joshi hae nami wo jism ki choli wo tar pasine se khushi yahi hai ki ek din to gham se chhutenge na maut aae to kya hasil aise jine se wo nichi nichi nigahon se dekhna mujh ko wo pyar takiye ko karna laga ke sine se yahi wo rah hai jo dil se dil ko hoti hai husul kaun sa chaak-e-jigar ke sine se main aur kuchh nahin kahta magar ye sun rakhiye adu ka dil hai labaalab hasad se kine se khuda ki shan hai ye baat aur munh un ka 'nizam' phir karun tauba sharab pine se