tutta hun kabhi judta hun main jagti aankh ka sapna hun main apni surat ko tarasta hun main aaina dhundne nikla hun main kabhi pinhan kabhi paida hun main kis fusun-gar ka tamasha hun main khalish-e-khar kabhi nikhat-e-gul har-nafas rang badalta hun main dekhiye kis ki nazar padti hai kab se showcase mein rakkha hun main koi tiryak nahin mera ilaj kushta-e-zahr-e-tamanna hun main kabhi uthte hain mere dam bahut kabhi be-mol bhi mahnga hun main koi pahchane to kya pahchane kabhi surat kabhi saya hun main aatish-e-gham ki tamazat ke nisar jitna tapta hun nikharta hun main koi jada hai na manzil 'sabir' apne hi gird bhatakta hun main