tutte hi dam diyon ka ek dhuan paida hua soch ke sagar se nila aasman paida hua ek muddat se yahi to sochta hun raat-din main kahan ka aadmi tha aur kahan paida hua dhup ki shiddat ne aakhir haar thak kar man li hum jahan thahre wahin par saeban paida hua tirgi-e-shab ujalon mein badal kar rah gai aansuon mein ek jamal-e-kahkashan paida hua