mauj-e-hawa se phulon ke chehre utar gae gil ho gae charagh gharaunde bikhar gae pedon ko chhod kar jo ude un ka zikr kya pale hue bhi ghair ki chhat par utar gae yaadon ki rut ke aate hi sab ho gae hare hum to samajh rahe the sabhi zakhm bhar gae hum ja rahe hain tutte rishton ko jodne diwar-o-dar ki fikr mein kuchh log ghir gae chalte huon ko rah mein kya yaad aa gaya kis ki talab mein qafile wale thahar gae jo ho sake to ab ke bhi sagar ko laut aa sahil ke sip swاati ki bundon se bhar gae ek ek se ye puchhte phirte hain ab 'nizam' wo khwab kya hue wo manazir kidhar gae