tutte jism ke mahtab bikhar ja mujh mein main chadhi raat ka dariya hun utar ja mujh mein main teri yaad ke sawan ko kahan barsaun ab ki rut mein koi baadal bhi na garja mujh mein jate qadmon ki koi chap hi shayad sun lun dubte lamhon ki baraat ubhar ja mujh mein jaane main kaun se patjhad mein hua tha barbaad girte patton ki ek aawaz hai har ja mujh mein koi mahkar hai khushbu ki na rangon ki lakir ek sahra hun kahin se bhi guzar ja mujh mein khatm hone de mere sath hi apna bhi wajud tu bhi ek naqsh kharabe ka hai mar ja mujh mein koi har-gam 'musawwir' ye sada deta hai main teri aakhiri manzil hun thahar ja mujh mein