naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho dil yar se phate to kisi se rafu na ho is dil ko de ke lun do jahan ye kabhu na ho sauda to howe tab ye ki jab us mein tu na ho aaina-e-wajud adam mein agar tera wo darmiyan na ho to kahin hum ko ru na ho jhagda to husn o ishq ka chukta hai pal ke bich gar mahkame mein qazi ke tu ru-ba-ru na ho qatre ki khul gai hai girah warna ai nasim shor-e-dimagh murgh-e-chaman gul ki bu na ho guzre so guzre ahl-e-zamin upar ai falak aainda yan talak to koi khub-ru na ho dil le ke tujh se barq ke shole ko dijiye par hai ye dar ki us ki bhi aisi hi khu na ho gul ki na tukhm murgh-e-chaman kar sake talash hum kham-fitraton se teri justuju na ho 'sauda' badal ke qafiya tu is ghazal ko kah ai be-adab tu dard se bas du-ba-du na ho