tutti shakh par wo baitha tha hans raha tha ghadi-bhar uncha tha yun to baitha tha mutmain chhat par han magar zalzale se darta tha jaane kis baat par bigad baithe main to khud se bhi dur baitha tha roz kahta tha kudo kud gae ghar se ek sans dur dariya tha rah gain rah mein hi wo rahen bojh jin par falak falak ka tha bikhra aandhi mein ek ek tila ret ka ye to hashr hona tha 'abid' us ki nazar ka tha jadu wo jo jine ka hausla sa tha