umr sahra-e-khamoshi mein guzaren kaise bar bar us ki jagah khud ko pukaren kaise tiktiki bandh ke main dekh raha tha phir bhi kat gai meri nigahon se bahaaren kaise jis mein tufan hai na tufan ke koi aasar kashtiyan aise samundar mein utaren kaise raat ke dasht mein nadida dayaron ka safar aisi surat mein koi rah sanwaren kaise log 'abid' ke liye sang-ba-kaf phirte hain us ko is shahr ki galiyon se guzaren kaise