ubhar ke aaya tha shab hote hi hunar mera

ubhar ke aaya tha shab hote hi hunar mera
phir intizar hi karti rahi sahar mera

main roz tapte hue dasht se guzarta hun
main roz kahta hun aaega ham-safar mera

zamin pe hote hue bhi main aasman pe tha
jab us ki god mein rakkha hua tha sar mera

kabhi zaban se wo izhaar to na kar paya
khayal dil mein basa kar jiye magar mera

tumhaare baad bhi tode bahut se dil main ne
tumhaare baad bhi jari raha safar mera

bade sukun se rahti hai mujh mein khamoshi
bhale hi chikhta rahta ho sara ghar mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close