uD gai chehre ki rangat zard chehra ho gaya

ud gai chehre ki rangat zard chehra ho gaya
kis liye kuchh din se gum-sum ho tumhein kya ho gaya

tut kar bikhre dhanak ke rang aankhon mein meri
us ne jab angdai li mausam suhana ho gaya

mohtaram tha ishq jab tak khanqahon mein raha
bargah-e-husn mein aaya to ruswa ho gaya

shoabada-bazi ziyaada der tak chalti nahin
jo tamasha karne aaya khud tamasha ho gaya

istaqamat ne liya jis ki chatanon se khiraj
tut kar is tarah bikhra reza-reza ho gaya

chadh ke aaya tha badi shiddat se dariya-e-hawas
jab meri tauba se takraya to sahra ho gaya

phul sa chehra bas ek shab khwab mein aaya mere
aur phir mera meri nindon se jhagda ho gaya

ek sajda yun ada ho ai mere parwardigar
tu kahe uth ja mere bande ki sajda ho gaya

raat-bhar ek dusre se guftugu ki 'altamash'
aur phir baaton hi baaton mein sawera ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close