uchatti si nazar ke sath mubham sa payam aaya kai mafhum le kar ek harf-e-na-tamam aaya tasawwur ki nazar bhi jhuk gai tazim dene ko takhayyul ke ufuq par kaun sa mah-e-tamam aaya mukhatab main na tha lekin yahi ehsas hota hai ki mujh tak bar bar un ki nigahon ka payam aaya rahi jis ki nazar sayyaad ki ek ek harakat par wahi kam-bakht tair adbada kar zer-e-dam aaya tumhaari yaad jab aai to aai kaif-e-mai ban kar tumhaara zikr jab aaya to ban kar daur-e-jam aaya mubarak jazb-e-ulfat aaj to wo meri baalin par ba-gharz-e-guftugu aaya ba-ummid-e-kalam aaya