udas aankhon se aansu nahin nikalte hain ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hain tamam raat khujuron ke ped julte hain main shahrah nahin raste ka patthar hun yahan sawar bhi paidal utar ke chalte hain unhen kabhi na batana main un ki aankhon mein wo log phul samajh kar mujhe masalte hain kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se kahin bhi jaun mere sath sath chalte hain ye ek ped hai aa is se mil ke ro len hum yahan se tere mere raste badalte hain