yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana yak-rangi o aazadi ai himmat-e-mardana ya sanjar o tughral ka aain-e-jahangiri ya mard-e-qalandar ke andaz-e-mulukana ya hairat-e-'farabi' ya tab-o-tab-e-'rumi' ya fikr-e-hakimana ya jazb-e-kalimana ya aql ki rubahi ya ishq-e-yadul-lahi ya hila-e-afrangi ya hamla-e-turkana ya shar-e-musalmani ya dair ki darbani ya nara-e-mastana kaba ho ki but-khana meri mein faqiri mein shahi mein ghulami mein kuchh kaam nahin banta be-jurat-e-rindana