udas baitha diye zakhm ke jalae hue unhen main soch raha hun jo ab parae hue mujhe na chhod akela junun ke sahra mein ki raste ye tere hi to hain dikhae hue ghira hua hun main kab se jazira-e-gham mein zamana guzra samundar mein mauj aae hue kabhi jo nam likha tha gulon pe shabnam se wo aaj dil mein mere aag hai lagae hue zamana phul bichhata tha meri rahon mein jo waqt badla to patthar hai ab uthae hue haya ka rang wahi un ka mere khwab mein bhi dabae danton mein ungli nazar jhukae hue main tum se tark-e-ta'alluq ki baat kyun sochun juda na jismon se 'anzar' kabhi bhi sae hue