mehr jab tak halqa-e-afaq mein aaya na tha

mehr jab tak halqa-e-afaq mein aaya na tha
tirgi hi mo'atabar hogi kabhi socha na tha

zindagi ke shahr mein muda-dili taqdir thi
jo bhi jaan-e-bazm tha us ka koi chehra na tha

pyas ko aane laga tha hukmarani ka hunar
abr ka tukda kisi ko yaad bhi aata na tha

is se pahle aisi shiddat to andhere mein na thi
raushni ka harf honton se juda hota na tha

din the lekin inqalab aane se pahle ke the din
phul abhi mahka na tha patthar abhi bola na tha

dukh ke suraj ko sawa neze pe 'bedi' dekh kar
khwab sukh ke dekhta tha aadmi andha na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close