udas kyon hai koi aasra nahin hai kya agar koi bhi nahin hai khuda nahin hai kya ye be-gunahon ki lashen sawal karti hain sharafaton ka zamana raha nahin hai kya mere qalam ka kharidar ban ke nikla hai amir-e-shahr mujhe jaanta nahin hai kya khile hain arz-e-watan par mohabbaton ke gulab ye khwab barha dekha hua nahin hai kya phir ek bar safar ke liye kamar bandho jo kho gae hain unhen dhundhna nahin hai kya suna hai ab bhi wo tanhaiyon mein roti hai to meri yaad ka suraj bujha nahin hai kya main tujh se ai mere parwardigar kya mangun jo mera haal hai tujh par khula nahin hai kya