ye sim-o-zar to hain aasaish-e-jahan ke liye

ye sim-o-zar to hain aasaish-e-jahan ke liye
mujhe hai gham ki zarurat sukun-e-jaan ke liye

nirala meri fughan ka hai dosto andaz
main kar raha hun fughan rukhsat-e-fughan ke liye

tumhaare ishq se badh kar watan ki ulfat hai
yahi hai turra-e-izzat har ek jawan ke liye

wo kya karenge mohabbat hamare gulshan se
jo dhundte hain chaman aur aashiyan ke liye

chaman mein khar yahi puchhte hain phulon se
bahaar aai hai kya sare gulistan ke liye

fana-pazir hai phulon ka rang murgh-e-qafas
hameshgi hai tere chashm-e-khun-fishan ke liye

yahan se jaane ko hota nahin hai ji hargiz
sarae kis ne sajai ye mehman ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close