udas raat ko mahkaen koi chaara karen khayal-e-yar ko khushbu ka istiara karen bala ki tirgi hai chashm-e-mah ko sochen shua-e-khwab tarah-dar ko sitara karen mahak ruton ki bulae tasarrufon ki taraf katile tar magar aur hi ishaara karen khizan ke din kisi pile pahad jaise din shaguft gul teri ummid par guzara karen hamare ishq ke surkhab par wo itrae hawas-jaan mein hum us ki nazar utara karen tera hi nam nikalta hai har tariqe se kisi bhi tarah mohabbat ka istikhara karen ye dasht-o-khar ye shahr-o-gulab sab tere shabana roz tere lutf ko nihaara karen