tamam shahr ki aankhon ka mahtab hua main jab se us ki nigahon mein intikhab hua hawa ke kandhon ne pahunchaya aasmanon tak main barg-e-sabz tha sukha to aaftab hua palat ke dekhun to mujh ko sazaen deta hai ajab sitara rah-e-gham mein ham-rikab hua yun qaus-e-chashm mein aaya wo barishon ki tarah ki harf-e-did kai rangon ki kitab hua pighal ke aa gai sari udasi lafzon mein wufur-e-gham mere aaine mein habab hua main apni khwahishen gum kar ke mil gaya us ko khusha wo meri mohabbat mein kaamyab hua