udas udas sar-e-saghar-o-subu bhi main

udas udas sar-e-saghar-o-subu bhi main
yam-e-nashat ki ek mauj-e-tund-khu bhi main

mujhi mein gum hain kai tirgi-ba-kaf raaten
ziya-farosh sar-e-taq-e-arzu bhi main

mujhi se qaem-o-daem hain ghar ke sannate
tumhaari bazm-e-tamanna ki haw-hu bhi main

mere hi zakhm-e-tamanna mein sau tarah ke rang
bhari bahaar mein mahrum-e-rang-o-bu bhi main

jo rah chalte meri samt aankh bhi na uthae
usi ki bazm ka mauzu-e-guftugu bhi main

jise sanwar ke khud bhi bikharta jata hun
us ek gauhar-e-sad-zau ki aabru bhi main

kuchh aise taur se chamka hai dil ka dagh-e-shikast
ki aaj tak nahin hasrat-kash-e-rafu bhi main

nazar mein tere har andaz ko sajae hue
misal-e-aina bhi main lahu lahu bhi main

main aaj saz-e-dil-o-jaan pe gaun kaun sa git
tumhaare pas bhi duniya ke ru-ba-ru bhi main

tumhaari barham se uthne ka bhi khayal mujhe
zara si der thaharne ka hila-ju bhi main

khud apne aap se aisa bichhad gaya hun 'nasim'
ki ab maqam bhi manzil bhi justuju bhi main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close