sukut-e-marg mein kyun rah-e-naghma-gar dekhun main khud hi saz ki manind tut kar dekhun mere dayar tere shahr hain ki sahra hain main ek tarah ka manzar nagar nagar dekhun wahi hon aariz-o-abaru-o-chashm-o-lab phir bhi har ek chehre pe ek chehra-e-digar dekhun ziya-e-najm-o-mah-o-mehr-o-kahkashan se alag ajib raushaniyan tujh ko dekh kar dekhun meri kami tujhe mahsus ho rahi thi jahan wahin pahunch ke teri rah umr bhar dekhun ghubar-e-rah-e-numai se at gai hai faza taras gaya hun ki rahon ko ek nazar dekhun teri shahi ki hawas mein hai meri jaan ka ziyan main tere taj ko dekhun ki apna sar dekhun na puchh harf-e-tamanna ki wusaten 'sadiq' chale jo baat to sadiyan bhi mukhtasar dekhun